Table of Contents
Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai
Jaun Elia Poetry
Zindagi kya hai ek kahani hai
Ye kahani nahi sunani hai
زندگی کیا ہے اک کہانی ہے
یہ کہانی نہیں سنانی ہے
Hai mere shauq-e-wasl ko ye gila
Us ka pahlu sara-e-faani hai
ہے مرے شوق وصل کو یہ گلہ
اس کا پہلو سرائے فانی ہے
Apni tameer-e-jaan-o-dil ke liye
Apni buniyaad hum ko dhhaani hai
اپنی تعمیر جان و دل کے لیے
اپنی بنیاد ہم کو ڈھانی ہے
Ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
Yaan ki har baat na-gahaani hai
یہ ہے لمحوں کا ایک شہر ازل
یاں کی ہر بات ناگہانی ہے
Chaliye ay jaan-e-shaam aaj tumhein
Shama ek qabr par jalaani hai
چلیے اے جان شام آج تمہیں
شمع اک قبر پر جلانی ہے
Rang ki apni baat hai warna
Aakhirash khoon bhi to paani hai
رنگ کی اپنی بات ہے ورنہ
آخرش خون بھی تو پانی ہے
Ek abas ka wajood hai jis se
Zindagi ko muraad paani hai
اک عبث کا وجود ہے جس سے
زندگی کو مراد پانی ہے
Sham hai aur sahn mein dil ke
Ek ajab huzn-e-aasmani hai
شام ہے اور صحن میں دل کے
اک عجب حزن آسمانی ہے Read more:Us Ke Pehloo Se Lag Ke Chalte HainAjeeb Khwab Tha Uske Badan Mein Kai ThiNaseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe HainIs Aik Dar Se Khwab Dekhta Nahi
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO