
Zindagi Aadhi Hai, Adhoori Hai
Zindagi Aadhi Hai, Adhoori Hai
Tera Aana Bahut Zaroori Hai
زندگی آدھی ہے، ادھوری ہے
تیرا آنا بہت ضروری ہے
Saamne Tu Hai Lamha Lamha Mere
Aur Zameen Aasman Ki Doori Hai
سامنے تو ہے لمحہ لمحہ مرے
اور زمیں آسماں کی دوری ہے
Koi Mantiq Koi Daleel Nahi
Tu Zaroori To Bas Zaroori Hai
کوئی منطق، کوئی دلیل نہیں
تو ضروری تو بس ضروری ہے
Jaise Qismat Pe Ikhtiyaar Nahi
Ye Mohabbat Bhi La-shaoori Hai
جیسے قسمت پہ اختیار نہیں
یہ محبت بھی لا شعوری ہے
Kaun Seekha Hai Sirf Baaton Se
Sab Ko Ek Haadsa Zaroori Hai
کون سیکھا ہے صرف باتوں سے
سب کو اک حادثہ ضروری ہے
Ek Bas Tu Raha Meri Hasrat
Aur Har Aarzu To Poori Hai
ایک بس تو رہا مری حسرت
اور ہر آرزو تو پوری ہے
Likhte Likhte Guzar Gaya Abrak
Dastaan Aaj Bhi Adhoori Hai
لکھتے لکھتے گزر گیا ابرک
داستاں آج بھی ادھوری ہے اتباف ابرک Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahin – Fatima HassanKab Mausam-E-Bahaar Pukara Nahin Kiya – Urdu PoetryNa Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi – Jaun EliaMain Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO