Table of Contents
Yunhi Be Sabab Na Phira Karo by Bashir Badr
Yunhi Be Sabab Na Phira Karo Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo
Woh Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai Isa Chupke Chupke Parha Karo
یونہی بے سبب نہ پھرا کرو، کوئی شام گھر بھی رہا کرو
وہ غزل کی سچی کتاب ہے، اسے چپکے چپکے پڑھا کرو
Koi Hath Bhi Na Milaay Gaa Jo Gale Miloo Ge Tapak Se
Ye Naye Mizaj Ka Shaher Hai Zara Fasle Se Mila Karo
کوئی ہا تھ بھی نہ ملائے گا جو گلے ملو گے تپاک سے
یہ نئے مزاج کا شہر ہے، ذرا فاصلے سے ملا کرو
Abhi Rah Mein Kai Mor Hain Koi Aay Ga Koi Jaay Gaa
Tumhain Jis Ne Dil Se Bhula Diya Use Bholne Ki Dua Karo
ابھی راہ میں کئی موڑ ہیں، کوئی آئے گا کوئی جائے گا
تمھیں جس نے دل سے بھلا دیا، اسے بھولنے کی دعا کرو
Mujhe Ishtihar Si Lagtee Hain Ye Mohabbaton Ki Kahaniyan
Jo Kaha Nahi Woh Suna Karo Jo Suna Nahi Woh Kaha Karo
مجھے اشتہار سی لگتی ہیں یہ محبتوں کی کہانیاں
جو کہا نہیں وہ سنا کرو، جو سنا نہیں وہ کہا کرو
Kabhi Husan Parda Nasheen Bhi Ho Zara Aashqana Libaas Mein
Jo Main Ban Sawar Kay Kahein Chaloon Mere Sath Tum Bhi Chala Karo
کبھی حسنِ پردہ نشیں بھی ہو ذرا عاشقانہ لباس میں
جو میں بن سنور کہیں چلوں، مرے ساتھ تم بھی چلا کرو
Nahi Be Hijab Woh Chand Sa Ke Nazar Ka Koi Asar Na Ho
Ise Itne Garme-E-Shoq Say Bari Dair Tak Na Taka Karo
نہیں بے حجاب وہ چاند سا کہ نظر کا کوئی اثر نہ ہو
اسے اتنی گرمیِ شوق سے بڑی دیر تک نہ تکا کرو
Ye Khizan Ki Zard Si Shaam Mein Jo Udaas Perh Kay Paas Hai
Ye Tumhare Ghar Ki Bahaar Hai Ise Ansoouon Se Hara Karo
یہ خزاں کی زرد سی شال میں جو اداس پیڑ کے پاس ہے
یہ تمھارے گھر کی بہار ہے، اسے آنسوؤں سے ہرا کرو
Read More:
Ankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha by Bashir Badr
Sham e Firaq Ab Na Puch Aayi Or Aa Ke Tal Gayi by Faiz Ahmad Faiz
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota – Mirza Ghalib
Kitne Aish Se Rehte Hongy Kitne Itrate Hongy – Jaun Elia Ghazal
SUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!
Heart Touching Urdu Poetry – “YUNHI BE SABAB NA PHIRA KARO”