Table of Contents
Ye Nigah-e-Sharm Jhuki Jhuki
Iqbal Azeem Poetry
ye nigah-e-sharm jhuki jhuki ye jabin-e-naz dhuan dhuan
mere bas ki ab nahin dastan mera kanpta hai ruwan ruwan
یہ نگاہِ شرم جُھکی جُھکی، یہ جبینِ ناز دُھواں دُھواں
مِرے بس کی اب نہیں داستاں، مِرا کانپتا ہے رُواں رُواں
ye takhaiyyulat ki zindagi ye tasawwuraat ki bandagi
faqat ek fareb-e-khayal par meri zindagi hai rawan dawan
یہ تخیّلات کی زندگی، یہ تصوّرات کی بندگی
فقط اِک فریبِ خیال پر، مِری زندگی ہے رواں دواں mere dil pe naqsh hain aaj tak wo ba-ehtiyat nawazishen
wo ghurur o- zabt ayan ayan wo khulus o rabt nihan nihan مِرے دل پہ نقش ہیں آج تک، وہ با احتیاط نوازشیں وہ غرور و ضبط عیاں عیاں، وہ خلوصِ ربط نہاں نہاں na safar ba-shart-e-maal hai na talab ba-qaid-e-sawal hai
faqat ek seri-e-zauq ko main bhatak raha hun kahan kahan نہ سفر بشرطِ مآل ہے، نہ طلب بقیدِ سوال ہے فقط ایک سیریِ ذوق کو، میں بھٹک رہا ہوں کہاں کہاں meri khalwaton ki ye jannaten kai bar saj ke ujad gain
mujhe barha ye hua guman ki tum aa rahe ho kashan kashan مِری خلوتوں کی یہ جنّتیں کئی بار سج کے اُجڑ گئیں مجھے بارہا یہ گمان ہوا، کہ تم آرہے ہو کشاں کشاں Main Khushnaseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu – Wasi ShahDil Ne Imdad Kabhi Hasb-E-Zarurat Nahi DiDhanak Dhanak Meri Poron Ke Khawab Kar DegaBaad Muddat Use Dekha Logo – Parveen Shakir Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO