
Table of Contents
Yar Bhi Rah Ki Deewar Samajhte Hain Mujhe
Urdu Ghazal / Urdu Poetry Collection
yar bhi rah ki deewar samajhte hain mujhe
main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe
یار بھی راہ کی دیوار سمجھتے ہیں مجھےمیں سمجھتا تھا مرے یار سمجھتے ہیں مجھے
jad ukhane se jhukao hai meri shakhon mein
dur se log samar-bar samajhte hain mujhe
جڑ اُکھڑنے سے جھکاؤ ہے مری شاخوں میںدُور سے لوگ ثمر بار سمجھتے ہیں مجھے
naik logon mein mujhe naik gina jata hai
aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe
نیک لوگوں میں مجھے نیک گِنا جاتا ہےاور گنہگار، گنہگار سمجھتے ہیں مجھے
kya Khabar kal yahi tabut mera ban jaye
aap jis takht ka haqdar samajhte hain mujhe
کیا خبر کل یہی تابوت مرا بن جائےآپ جس تخت کا حق دار سمجھتے ہیں مجھے
roshni bant’ta hun sarhadon ke par bhi main
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe
روشنی سرحدوں کے پار بھی پہنچاتا ہوںہم وطن اِس لیے غدار سمجھتے ہیں مجھے
wo jo us par hain is par mujhe jaante hain
ye jo is par hain us par samajhte hain mujhe
وہ جو اُس پار ہیں اُن کے لیے اِس پار ہوں میںیہ جو اِس پار ہیں، اُس پار سمجھتے ہیں مجھے
main badalte hue haalat mein Dhal jata hun
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe
میں بدلتے ہوئے حالات میں ڈھل جاتا ہوںدیکھنے والے اداکار سمجھتے ہیں مجھے
jurm ye hai ki in andhon mein hun aankhon wala
aur saza ye hai ki sardar samajhte hain mujhe
جُرم یہ ہے کہ ان اندھوں میں ہوں آنکھوں والااور سزا یہ ہے کہ سردار سمجھتے ہیں مجھے
main tou yun chup hun ki andar se bahut Khali hun
aur ye log pur-asrar samajhte hain mujhe
میں تو یوں چُپ ہوں کہ اندر سے بہت خالی ہوںاور یہ لوگ پُراسرار سمجھتے ہیں مجھے
main badalte hue haalat mein Dhal jata hun
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe
میں بدلتے ہوئے حالات میں ڈھل جاتا ہوںدیکھنے والے اداکار سمجھتے ہیں مجھے
main to Khud bikne ko bazar mein aaya hua hun
aur dukan-dar KHaridar samajhte hain mujhe
میں تو خود بِکنے کو بازار آیا ہوا ہوںاور دکاں دار خریدار سمجھتے ہیں مجھے
lash ki tarah sar-e-ab hun main aur ‘shahid’
Dubne wale madad-gar samajhte hain mujhe
لاش کی طرح سرِ آب ہوں میں اور شاہدؔڈوبنے والے مددگار سمجھتے ہیں مجھے Mujhe Aisa Lutf Ataa Kiya Keh Jo Hijr Tha Na Visal Tha – Urdu GhazalMil Hi Jaayega Kabhi Dil Ko Yaqeen Rehta Hai – Urdu PoetryMeri Rooh Mein Jo Utar Sakay Woh Muhabbtain Mujhe ChahiyeinSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!