
Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney Waaley
Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney WaaleyYahi Kahtey They Mujhey Chhorh Ke Jaaney Waaley یار ہم ہیں نا تیرا ساتھ نبھانے والے یہی کہتے تھے مجھے چھوڑ کے جانے والے Main Terey Chaak Pe Kamzor-tareen Kooza HoonToot Jaaun Na, Mujhey Aur Ghumaaney Waaley میں تیرے چاک پہ کمزور تریں کوزہ ہوںٹوٹ جاؤں نا مجھے اور گھمانے والے Meri Dahleez Ne Poochha Ye Mukarrar Un SeMar Gaye Kya Wo Terey Naaz Uthaaney Waaley میری دہلیز نے پوچھا یہ مکرر ان سےمر گئے کیا وہ تیرے ناز اٹھانے والے Haath Gaalon Pe Rakhey Poochh Rahi Ho Kya Hai Terey Tewar To Nahi Mujh Ko Manaaney Waaley ہاتھ گالوں پہ رکھے پوچھ رہی ہو کیا ہےتیرے تیور تو نہیں مجھ کو منانے والے Baat Aisi Thi Ke Masloob Kiya Jaata MujheyJaaney Kya Soch Ke Chup Hain Ye Zamaaney Waaley بات ایسی تھی کہ مصلوب کیا جاتا مجھےجانے کیا سوچ کے چپ ہیں یہ زمانے والے Kitni Qabrein Hain Merey Dil Mein Tujhey Kya Maaloom Kitney Qussey Hain Tujhey Dost, Sunaaney Waaley کتنی قبریں ہیں میرے دل میں تجھے کیا معلومکتنے قصے ہیں تجھے دوست سنانے والے Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahin – Fatima HassanKab Mausam-E-Bahaar Pukara Nahin Kiya – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO