Table of Contents
Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon
(Bal-e-Jibril)
Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon
Khuda Mujhe Nafs-e-Jibraeel De To Kahoon
وہ حرف راز کہ مجھ کو سکھا گیا ہے جنوں
خدا مجھے نفس جبرئیل دے تو کہوں
Sitara Kya Meri Taqdeer Ki Khabar De Ga
Woh Khud Farakhi-e-Aflaak Mein Hai Khwaar-o-Zaboon
ستارہ کیا مری تقدیر کی خبر دے گا
وہ خود فراخی افلاک میں ہے خوار و زبوں
Hayat Kya Hai, Khiyal-o-Nazar Ki Majzoobi
Khudi Ki Mout Hai Andesha Ha’ay Goonagoon
حیات کیا ہے خیال و نظر کی مجذوبی
خودی کی موت ہے اندیشہ ہائے گوناں گوں
Ajab Maza Hai, Mujhe Lazzat-e-Khudi De Kar
Woh Chahte Hain Ke Main Apne Aap Mein Na Rahoon
عجب مزہ ہے مجھے لذت خودی دے کر
وہ چاہتے ہیں کہ میں اپنے آپ میں نہ رہوں
Zameer-e-Paak-o-Nigah-e-Buland-o-Masti-e-Shauq
Na Maal-o-Doulat-e-Qaroon, Na Fikar-e-Aflatoon
ضمیر پاک و نگاہ بلند و مستئ شوق
نہ مال و دولت قاروں نہ فکر افلاطوں
Sabaq Mila Hai Ye Miraaj-E-Mustafa Se Mujhe
Ke Alam-e-Bashriyat Ki Zad Mein Hai Gardoon
سبق ملا ہے یہ معراج مصطفی سے مجھے
کہ عالم بشریت کی زد میں ہے گردوں
Ye Kainat Abhi Na-Tamam Hai Shaid
Ke Aa Rahi Hai Damadam Sada’ay ‘Kun Fayakoon’
یہ کائنات ابھی ناتمام ہے شاید
کہ آ رہی ہے دمادم صدائے کن فیکوں
Elaj Atish-E-Rumi Ke Soz Mein Hai Tera
Teri Khirad Pe Hai Ghalib Farangion Ka Fasoon
علاج آتش رومیؔ کے سوز میں ہے ترا
تری خرد پہ ہے غالب فرنگیوں کا فسوں
Ussi Ke Faiz Se Meri Nigah Hai Roshan
Ussi Ke Faiz Se Mere Saboo Mein Hai Jehoon
اسی کے فیض سے میری نگاہ ہے روشن
اسی کے فیض سے میرے سبو میں ہے جیحوں Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai – Allama IqbalJab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal PoetryNa Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO