Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai – Poetry
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai Ke Be Rukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai وہ اپنے عشق میں کیسا کمال رکھتا ہےکہ بے رخی میں بھی میرا خیال رکھتا ہے Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai جو آج میرا نہیں ہے وہ کل مرا ہوگاکہ ہر زمانہ عروج و زوال رکھتا ہے Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai عجب نہیں وہ جہاں بھر کو بے وفا سمجھےنظر میں میری وفا کی مثال رکھتا ہے Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai کہاں تلک کوئی دست کرم کو زحمت دےتمام شہر ہی دست سوال رکھتا ہے Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai مری اڑان کے آگے ہے کس قدر بے بسیہ آسماں جو ستاروں کا جال رکھتا ہے Tera Khayal Hi Kuch Meharban Hai Warna Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai ترا خیال ہی کچھ مہربان ہے ورنہجہاں میں کون کسی کا خیال رکھتا ہے رحمان خاور Mil Kar Bhi Use Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai – Sad PoetryKabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko – LyricsKahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra – Mohsin NaqviRahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO