Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinara Ho Bhi Sakta Hai
woh aadat hai to aadat se kinare ho bhi sakta hai
magar is sari koshish mein khasara ho bhi sakta hai
rahenge sath phir bhi hum mohabbat mar gai kya gham
ki masnui tanaffus par guzara ho bhi sakta hai
agar aankhen na bhar aaen to dil mutthi mein aaega
hua hai haal jo mera tumhaara ho bhi sakta hai
khuli aankhon mein thahra khwab kaise tut sakta hai
guman ye zindagi bhar ka sahaara ho bhi sakta hai
jo itni jagmagahat dekhte ho aas-pas apne
ye meri aankh se tuta sitara ho bhi sakta hai
hamein hairat se mat dekho ab aisa kya kiya hum ne
zamini ishq hai sahab dobara ho bhi sakta hai
وہ عادت ہے تو عادت سے، کنارہ ہو بھی سکتا ہےمگر اس ساری کوشش میں، خسارہ ہو بھی سکتا ہے رہیں گے ساتھ پھر بھی ہم، محبت مر گئی کیا غم؟کہ مصـنوعـی تنفس پہ، گـزارا ہو بھـی سکتا ہے اگر آنکھیں نہ بھر آئیں، تو دل مٹھی میں آئیگاہوا ہے حال جو میرا،،،، تمہارا ہو بھی سکتا ہے کھلی آنکھوں میں ٹہرا خواب کیسے ٹوٹ سکتا ہے؟گمـاں یہ زندگی بھـر کا، سہـارا ہو بھـی سکتا ہے جو اتنی جگمگاہٹ دیکھتے ہو آس پاس اپنےیہ میری آنکھ سے ٹوٹا، ستارہ ہو بھی سکتا ہے ہمیں حیرت سے مت دیکھو، اب ایسـا کـیا کِیا ہـم نے؟زمینی عشق ہے صاحب، دوبارہ ہو بھی سکتا ہے۔۔۔!! Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye – Mirza Galib PoetrySaqiya Ek Nazar Jaam Se Pehlay Pehay – Lyrics in UrduBerukhi Usne Bhi Ki Uzr-E-Zamana Kar Ke – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO