Table of Contents
Woh Jo Ajate The Aankhon Mein Sitare Le Kar
Ahmed Faraz Poetry
Wo Jo Aa Jatey They Aankhon Mein Sitarey Le Kar
Janey Kis Des Gae Khawab Hamare Le Kar
وہ جوآ جاتے تھے آنکھوں میں ستارے لے کر
جانے کس دیس گئے خواب ہمارے لے کر
Chahon Mein Baithney Waley Hi To Sab Se Pehley
Per Girta Hai To Aa Jatey Hain Aarey Le Kar
چھاؤں میں بیٹھنے والے ہی تو سب سے پہلے
پیڑ گرتا ہے تو آ جاتے ہیں آرے لے کر
Wo Jo Aasodah E Sahil Hain Unhen Kia Ma’loom
Ab K Mouj Aai To Paltey Gi Kinarey Le Kar
وہ جو آسودہ ساحل ہیں انہیں کیا معلوم
اب کے موج آئی تو پلٹے گی کنارے لے کر
Aiasa Lagta Hai Ke Har Mousam e Hijran Mein Bahar
Hont Rakh Deti Hai Shakhon Pe Tumharey Le Kar
ایسا لگتا ہے کہ ہر موسم ہجراں میں بہار
ہونٹ رکھ دیتی ہے شاخوں پہ تمہارے لے کر
Shaher Walon Ko Kahan Yaad Hai Wo Khawab Farosh
Phirta Rehta Tha Jo Galion Mein Ghubarey Le Kar
شہر والوں کو کہاں یاد ہے وہ خواب فروش
پھرتا رہتا تھا جو گلیوں میں غبارے لے کر
Naqd E Jaan Sarf Hua Kulfat E Hasti Mein Faraz
Ab Jo Zinda Hain To Kuch Sans Udharey Le kar
نقد جاں صرف ہوا قلفت ہستی میں فراز
اب جو زندہ ہیں تو کچھ سانس دھارے لے کر
Ye Duniya Hai Yahaan Dil Ko Lagana Kis Ko Aata Hai
Hum Bhi Shikasta Dil Hain, Pareshaan Tum Bhi Ho – Urdu Poetry
Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahin Dekha – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO