Table of Contents
Wafa Shayari – Urdu Poetry
2 Line Wafa Shayari | 2 Line Sad Urdu Poetry
Wafa Krain ge Nibhain Ge Baat Manain Ge
Tumhan Yaad Bhi Hai Kuch Yeh Kalam Kis Ka Tha
– Daag Dahlvi
Anjam-e-Wafa Yeh hai jis bhi muhabbat ki
marne ki dua maangi jeene ki saza payi
– Nushoor Wahidi
Ulfat Mein Brabar hai wafa ho keh jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
– Ameer Minai
Kiun pashema’n ho agar wa’ada wafa ho na saka
kahein wa’ade bhi nibhane ke liye hote hain
– Ibrat Machli Shehri
Dushmano’n ki jafa ka khof nahi
doston ki wafa say darr lagta hai
– Hafeez Banarsi
Be-Wafai pe teri j ihai fida
qehar hota jo ba-wafa hota
– Mir Taqi Mir
Aik Aurat say wafa karne ka yeh sila tohfa mila
jaane kitni aurato’n ki bad’duain sath hain
– bashir badr
Wafa jis say ki be-wafa ho gya
jise buutt banaya khuda ho gaya
– Hafeez Jhalandhari
Urr Gai Youn wafa zamane say
kabhi goya kisi mein thi he nahi
– Daag Dehlvi
Wafaon ke badle jafa kar rahe hain
mein kya kar rha hoon woh kya kar rahe hain
– Behzad Lakhnavi
Dunya ke sitan yaad na apni he wafa yad
ab mujhko nahi kuch bhi muhababt ke siwa yaad
– Jigar Muradabadi
Wafa ki khair manata hoon bwafai mein bhi
mein uski qaid mein hoon qaid say rihai mein bhi
– Iftikhar Arif
Mere Baad Wafa Ka Dhoka Kise se Mat Karna
Gali degi dunya tujhko sar mera jhuk jaega
– Qateel Shifai
Wafa Ikhlas Qurbanimuhabbat
ab in lafzon ka peecha kiun krain ham
– Jaun Elia
Kon uthaye ga tumhari yeh jafa mere baad
Yaad Ayegi buhat meri wafa ke baad
– Ameer Minai
Tanhai Poetry in Urdu | 2 Line Heart Touching Tanhai Poetry
Muhabbat adawat be-wafa be-rukhi
karaye ke ghar badalyte rahe
– Bashir Badr
Kaam aa sakein na apni wafain tou kya krain
es be-wafa ko bhool n ajain tou kya krain
– Akhtar Shirani
Agahi karb wafa sabr tamanna ehsas
mere hi seene mein utre hain ye khanjar saare
– Bashir farooqi
Jao bhi kya karoge mehar-o-wafa
barha azma ke dekh liya
– daag dehlvi
ye wafa ki sakht rahain yeh tumhare paon naazuk
na lo intiqam mujh say mere sath sath chal ke
– Khumar Barabankvi
yeh kya keh tum ne jafa say bhi hath kheench liya
meri wafaon ka kuch tou sila diya hota
– Abdul Hameed Adam
Mujhse kya ho saka wafa ke siwa
mujhko milta bhi kya saza ke siwa
– Hafeez Jhalandhari
Na Krain aap wafa hum ko kya
Be-Wafa Aap hi kehlaiye ga
– Wazir Ali Lakhnavi
Teri Wafa Mein Mili Arzoo-e-mout mujhe
jo mour mil gai hoti tou koi baat bhi thi
– Khalil-ur-Rehman Azmi
Buhat Mushkil zamano’n mein bhi hum ahl-e-Muhabbat
wafa par ishq ki buniad rakhna chahte hain
– Iftikhar Arif
:* Tamam Shayari ‘Rekhta.org’ Se li gai hai.