Usi Ke Pyar Ko Dil Se Nikal Rakkha Hai
usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai
hamesha jis ne hamara khayal rakkha hai
اسی کے پیار کو دل سے نکال رکھا ہے
ہمیشہ جس نے ہمارا خیال رکھا ہے wagarna tut ke kab ka bikhar gaya hota
khayal-e-yar ne dil ko sambhaal rakkha hai وگرنہ ٹوٹ کے کب کا بکھر گیا ہوتاخیال یار نے دل کو سنبھال رکھا ہے magar hain dida-e-bina ko hum samete hue
hamare aage hamara maal rakkha hai مگر ہیں دیدۂ بینا کو ہم سمیٹے ہوئےہمارے آگے ہمارا مآل رکھا ہے chale bhi aao ki hum ne dayar-e-ghair mein bhi
sabil dhund li rasta nikal rakkha hai چلے بھی آؤ کہ ہم نے دیار غیر میں بھیسبیل ڈھونڈ لی رستہ نکال رکھا ہے shikasta-khwab muqaddar kahin na ban jaein
khuda-e-waqt ne wadon pe tal rakkha hai شکستہ خواب مقدر کہیں نہ بن جائیںخدائے وقت نے وعدوں پہ ٹال رکھا ہے
azal ke din se ‘mubarak’ hawaon ki zad par
mera wajud diye ki misal rakkha hai
ازل کے دن سے مبارک ہواؤں کی زد پرمرا وجود دئے کی مثال رکھا ہے Jism Tarpa Hai Khak Par Tanha – Mohsin Naqvi PoetryMein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai – Ahmad FarazKhuli Aankhon Mein Sapna Jhaankta Hai – Parveen Shakir Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO