Table of Contents
Us Sham Wo Rukhsat Ka Saman Yaad Rahega
Ibn e Insha Poetry / Urdu Shayari
us sham wo rukhsat ka saman yaad rahega
wo shahr wo kucha wo makan yaad rahega
اس شام وہ رخصت کا سماں یاد رہے گا
وہ شہر، وہ کوچہ، وہ مکاں، یاد رہے گا
wo tees ki ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard ki uttha tha yahan yaad rahega
وہ ٹیس کہ ابھری تھی ادھر یاد رہے گی
وہ درد کہ اٹھا تھا یہاں یاد رہے گا
hum shauq ke shole ki lapak bhul bhi jaen
wo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega
ہم شوق کے شعلے کی لپک بھول بھی جائیں
وہ شمع فسردہ کا دھواں یاد رہے گا
han bazm-e-shabana mein hama-shauq jo us din
hum the teri jaanib nigaran yaad rahega
ہاں بزم شبانہ میں ہمہ شوق جو اس دنہم تھے تیری جانب نگراں یاد رہے گ
kuchh ‘mir’ ke abyat the kuchh ‘faiz’ ke misre
ek dard ka tha jin mein bayan yaad rahega
کچھ میر کے ابیات تھے کچھ فیض کے نسخے
اک درد کا تھا جن میں بیاں یاد رہے گاaankhon mein sulagti hui wahshat ke jilau mein
wo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega آنکھوں میں سلگتی ہوئی وحشت کہ جلو میںوہ حیرت و حسرت کا جہاں یاد رہے گا
jaan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega
جاں بخش سی اس برگ گل تر کی تراوت
وہ لمس عزیز دو جہاں یاد رہے گا
hum bhool sake hain na tujhe bhool sakainge
tu yaad rahega hamein han yaad rahega
ہم بھول سکے ہیں نہ تجھے بھول سکیں گےتو، یاد رہے گا، ہاں ہمیں یاد رہے گا Dil Ishq Mein Be-Payan Soda Ho Tou Aisa Ho – Ibn e Insha ShayariSham-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti – Ibn e Insha Poetry | Urdu ShayariBadban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna – Parveen Shakir GhazalSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!