Table of Contents
Best Urdu Poetry Collection | 2 Line Line Urdu Poetry
Purani ehd-e-rafta ki riwayat tordi hum ne
Mjuhabbat Chordi Humne___!
Woh Log Bhi Aakhir Lout Gaye
Jo Sadion Paar Se Aye Thy
Mile Gham Se APne Fursat Tou Mein Haal Puchun Unka
Shabe Gham Se Koi Keh De Kahein Or Ja ke Roye
Janta Hoon Tujhe Sath Tou Rakhte Hain Kayi
Puchmna Tha Keh Tere Dhiyaan Bhi Rakhta Hai Koi?
Dil Mein Na Ho Jur’at Tou Muhabbat Nahi Milti
Khairat Mei Itni Bari Daulat Nahi Milti
Aghaz-e-Muhabbat Ka Anjam Bass Itna He Hai
jab Dil Mein Tamanna Thi Ab Dil Hi Tamanna Hai
Pukara Jab Mujhe Tanhai Ne Tou Yad Aya
Keh Apne Sath Buhat Mukhtasar Raha Hun Mein
Dukh Mujhe Iska Nahi Hai Keh Dukhi Hai Woh Shaks
Dukh Tou Yeh Keh Keh Sabab Mere Elawa Hai Koi
Waise Socha Tha Muhabbat Nahi Karni Mein Ne
Ess Liye Ki Keh Kabhi Puch He Leta Hai Koi
Yeh Jabar Bhi Dekha Hai Tareekh Ki Nazron Ne
Lamhon Ne Khata Ki Thi Sadion Ne Saza Payi
Yeh Dasht Woh Hai Jahan Raasta Nahi Milta
Abhi Se Lout Chalo Ghar Abhi Ujala Hai
Teri Tehweel Mein Aane Se Zara Pehle Tak
Hum Bhi Es Shehar Mein Izzat Se Raha Karte Thy
Zindagi Tune Mujhe Qabar Sew Kam Di Hai Zameen
Paon Phelaon Tou Deewar Mein Sar Lagta Hai
Tumhare Shehar Ka Mausam Bara Suhana Lage
Mein Ek Sham Chura Loon Agar Bura Na Lage
Hum Se Kya Ho Saka Muhabbat Mein
Khair Tumne Tou Be-Wafai Ki
Tujhe Laa Ke Dil Mein Beetha Diya
Tujhe Raaz Har Ek Bata Diya
Tune Phir Bhi Koi Wafa Na Ki
Yeh Meri Wafa Ki Shikast Hai
Sar Bulandi Meri Tanhai Tak aa Pohanchi
Mein Wahan Hun Jahan Koi Nahi Mere Siwa
Dushmani Jam Kar Karo Lekin Yeh Gunjaish rahe
Jab Kabhi Hum Dost Ho Jain Tou Sharminda Na Hon
Us Husan Ke Sachi Moti Ko
HumDekh Sakein Par Choo Na Sakain
Jise Dekh Sakain Par Choo Na Sakain
Wo Daulat Kya Woh Khazana Kya
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo
Iss Shehar Mein Jee Ko Lagana Kya