Table of Contents
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Mohsin Naqvi Poetry
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Na Pooch Kaisey Ghuzrti Hai Terey Hijar Ki Sham
اجڑ اجڑ کے سنورتی ہے تیرے ہجر کی شام
نہ پوچھ کیسے گزرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Yeh Barg Barg Udaasi Bekhar Rahi Hai Merey
K Shaakh Shaakh Utarti Hai Terey Hijar Ki Sham
یہ برگ برگ اداسی بکھر رہی ہے مری
کہ شاخ شاخ اترتی ہے تیرے ہجر کی شام
Ujaar Ghar Main Koi Chaand Kab Utarta Hai
Sawal Mujh Say Yeh Karti Hai Terey Hijar Ki Sham
اجاڑ گھر میں کوئی چاند کب اترتا ہے
سوال مجھ سے یہ کرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Merey Safar Main Ek Aisa Bhi Morr Atta Hai
Jab Apnay Aap Say Darti Hai Terey Hijar Ki Sham
مرے سفر میں اک ایسا بھی موڑ آتا ہے
جب اپنے آپ سے ڈرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Buhat Aziz Hain Dil Ko Yeh Zakhm Zakhm Ruttain
Unhi Ruttoon Main Nekharti Hai Terey Hijar Ki Sham
بہت عزیز ہیں دل کو یہ زخم زخم رتیں
انہی رتوں میں نکھرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Yeh Mera Dil, Yeh Sara Sar Nighaar Khanah-E-Ghum
Sada Isi Main Utarti Hai Terey Hijar Ki Sham
یہ میرا دل یہ سراسر نگارخانۂ غم
سدا اسی میں اترتی ہے تیرے ہجر کی شام۔
Jahan Jahan Bhi Milain Teri Qurbatoon K Nishan
Wahan Wahan Say Ubharti Hai Terey Hijar Ki Sham
جہاں جہاں بھی ملیں تیری قربتوں کے نشاں
وہاں وہاں سے ابھرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Yeh Haadsa Tujhay Shayad Uddas Kar Dey Ga
K Merey Saath Hi Marti Hai Terey Hijar Ki Sham
یہ حادثہ تجھے شاید اداس کر دے گا
کہ میرے ساتھ ہی مرتی ہے تیرے ہجر کی شام Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat IndoriKehte Ho Mujh Se Ishq Ka Afsana Chahiye – NFAK LYRICSLikh Diya Apne Dar Pe Kisi Ne – NFAK LYRICS
Follow On Us Social Media:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Na Puch Kaise Guzarti Hai Tere Hijar Ki Sham – Best Sad Poetry By Mohsin Naqvi