Table of Contents
Tum Haqeeqat Nahin Ho Hasrat Ho
Jaun Elia Poetry
Tum Haqeeqat Nahin Ho Hasrat Ho
Jo Mile Khwaab Mein woh Daulat Ho
تم حقیقت نہیں ہو حسرت ہو
جو ملے خواب میں وہ دولت ہو
Main Tumhaare Hi Dam Se Zinda Hoon
Mar Hi Jaaun Jo Tum Se Fursat Ho
میں تمہارے ہی دم سے زندہ ہوں
مر ہی جاؤں جو تم سے فرصت ہو
Tum Ho Khushbu Ke Khwaab Ki Khushbu
Aur Utni Hi, Be-Murawwat Ho
تم ہو تو خوشبو کے خواب کی خوشبو
اور اتنی ہی بے مروت ہو
Tum Ho Pahlu Mein Par Qaraar Nahin
Yani Aisa Hai Jaise Furqat Ho
تم ہو پہلو میں پر قرار نہیں
یعنی ایسا ہے جیسے فرقت ہو
Kis Tarah Chhor Doon Tumhein Jaanaan
Tum Meri Zindagi Ki Aadat Ho
کس طرح چھوڑ دوں تمہیں جاناں
تم میری زندگی کی عادت ہو
Kis Liye Dekhti Ho Aayeena
Tum To Khud Se Bhi Khoobsoorat Ho
کس لیے دیکھتی ہو آئینہ
تم تو خود سے بھی خوبصورت ہو
Daastaan Khatm Hone Waali Hai
Tum Meri Aakhri Muhabbat Ho
داستاں ختم ہونے والی ہے
تم میری آخری محبت ہو
Hum Ne Be-Parda Tujhe Ae Mah-Jabeen Dekh Liya
Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jata Hai – Noshi Gilani
Main Is Se Pahle Ke Bikhrun Idhar Udhar Ho Jaaun – Urdu Poetry
Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahin Dekha – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO