Table of Contents
Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezar Guzri Hai
Faiz Ahmad Faiz Poetry Lyrics
Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezar Guzri Hai
Talash Mein Hai Seher Baar Baar Guzri Hai
تم آئے ہو، نہ شبِ انتظار گزری ہے
تلاش میں ہے سحر، بار بار گزری ہے
Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bikaar Guzri Hai
Agarcheh Dil Peh Kharabi Hazaar Guzri Hai
جنوں میں جتنی بھی گزری، بکار گزری ہے
اگرچہ دل پہ خرابی ہزار گزری ہے
Hui Hay Hazrat e Naseh Se Guftugu Jis Shub
Wo Shub Zarur Sar e Kuye Yaar Guzri Hai
وہ شب ضرور سرِ کوئے یار گزری ہے
Woh Baat Saare Fasanay Mein Jis Ka Zikr Na Tha
Woh Baat Un Ko Boht Na Gawaar Guzri Hai
وہ بات سارے فسانے میں جس کا ذکر نہ تھا
وہ بات اُن کو بہت ناگوار گزری ہے
Na Gul Khilay Hain, Na Un Say Milay Hain
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai
نہ گل کھلے ہیں، نہ اُن سے ملے، نہ مے پی ہے
عجیب رنگ میں اب کے بہار گزری ہے
Chaman Mein Gharat e Gul Cheen Se Jaane Kiya Guzri
Qafas Sey Aaj Saba Be Qaraar Guzri Hai
قفس سے آج صبا بے قرار گزری ہے