Table of Contents
Tujhse Bichhad Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye
Ahmad Faraz Poetry
Tujhse Bichhad Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye
Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Usi Dar Ke Ho Gaye
تجھ سے بچھڑ کے ہم بھی مقدر کے ہو گئے
پھر جو بھی در ملا ہے اسی در کے ہو گئے Phir Yun Hua Ke Ghhair Ko Dil Se Lagaa Liya
Andar Wo Nafraten Thin Ke Baahar Ke Ho Gaye پھر یوں ہوا کہ غیر کو دل سے لگا لیااندر وہ نفرتیں تھیں کہ باہر کے ہو گئے Kya Log The Ke Jaan Se Badh Kar Aziz The
Ab Dil Se Mahw Naam Bhi Aksar Ke Ho Gaye کیا لوگ تھے کہ جان سے بڑھ کر عزیز تھےاب دل سے محو نام بھی اکثر کے ہو گئے Ay Yaad-E-Yaar Tujh Se Karen Kyaa Shikaayaten
Ay Dard-E-Hijr Hum Bhi To Patthar Ke Ho Gaye اے یاد یار تجھ سے کریں کیا شکایتیںاے درد ہجر ہم بھی تو پتھر کے ہو گئے Samjha Rahe The Mujh Ko Sabhi Nasehaan-E-Shehar
Phir Raftaa Raftaa Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye سمجھا رہے تھے مجھ کو سبھی ناصحان شہرپھر رفتہ رفتہ خود اسی کافر کے ہو گئے Ab Ke Na Intizaar Karen Chaaragar Ka Hum
Ab Ke Gaye To Koo-E-Sitamgar Ke Ho Gaye اب کے نہ انتظار کریں چارہ گر کہ ہماب کے گئے تو کوئے ستم گر کے ہو گئے Rote Ho Ek Jazira-E-Jaan Ko Faraz Tum
Dekho To Kitne Shahr Samandar Ke Ho Gaye روتے ہو اک جزیرۂ جاں کو فرازؔ تمدیکھو تو کتنے شہر سمندر کے ہو Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise – Ehsan Danish PoetryJo Ab Bhi Na Taklif Farmaaiye Ga – Jigar Murad AbadiKya Haqiqat Kahun Keh Kya Hai Ishq – Mir Taqi MirAziz Itna Hi Rakho Ke Jee Sanbhal Jaye – Urdu Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO