
Table of Contents
Tu Reh Naward-e-Shauq Hai, Manzil Na Kar Qabool
Sultan Tipu Ki Wasiyat (Zarb-e-Kaleem)
Tu Reh Naward-e-Shauq Hai, Manzil Na Kar Qabool
Laila Bhi Hum-Nasheen Ho To Mehmil Na Kar Qabool
تو رہ نوردِ شوق ہے منزل نہ کر قبول
لیلیٰ بھی ہم نشیں ہو تو محمل نہ کر قبول
Ae Jooye Aab Barh Ke Ho Darya-e-Tund-o-Taiz
Sahil Tujhe Atta Ho To Sahil Na Kar Qabool
اے جوئے آب بڑھ کے ہو دریائے تندو تیز
ساحل تجھے عطا ہو تو ساحل نہ کر قبول
Khoya Na Ja Sanamkada-e-Kainat Mein
Mehfil Gudaz! Garmi-e-Mehfil Na Kar Qabool
کھویا نہ جا صنم کدۂ کائنات میں
محفل گداز گرمی ٔ محفل نہ کر قبول
Subah-e-Azal Ye Mujh Se Kaha Jibreel Ne
Jo Aqal Ka Ghulam Ho, Woh Dil Na Kar Qabool
صبح ازل یہ مجھ سے کہا جبرئیل نے
جو عقل کا غلام ہو وہ دل نہ کر قبول
Batil Dooyi Pasand Hai, Haq La-Shareek Hai
Shirkat Mayana-e-Haq-o-Batil Na Kar Qabool
باطل دوئی پسند ہے حق لا شریک ہے
شرکت میانہ ء حق و باطل نہ کر قبول
Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi – Allama Iqbal
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Khird Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin – Allama Iqbal
La Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi – Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO