Table of Contents
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-Maqaam Se Guzar
Bal-e-Jibril – London Mein Likhe Gye
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-Maqaam Se Guzar
Misr O Hijaz Se Guzar Paaras O Shaam Se Guzar
تو ابھی رہ گزر میں ہے قید مقام سے گزر
Jis Kaa Amal Hai Be-garaz Us Ki Jazaa Kuch Aur Hai
Hoor O Khiyaam Se Guzar Baada-o-jaam Se Guzar
جس کا عمل ہے بے غرض اس کی جزا کچھ اور ہے
Garche Hai Dil-kushaa Bahut Husn-e-farang Ki Bahaar
Taa’eak-e-buland-baal Daana-o-daam Se Guzar
گرچہ ہے دل کشا بہت حسن فرنگ کی بہار
Koh-shigaaf Teri Zarb Tujh Se Kushaad-e-sharq-o-garb
Tegh-e-hilal Ki Tarah Aish-e-niyaam Se Guzar
کوہ شگاف تیری ضرب تجھ سے کشاد شرق و غرب
Tera Imam Be-huzur Teri Namaaz Be-surur
Aisi Namaz Se Guzar Aise Imaam Se Guzar
تیرا امام بے حضور تیری نماز بے سرور
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO