
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Table of Contents
Tooti Hai Meri Neend Magar Tum Ko Iss Se Kya
Parveen Shakir Poetry
Tooti hai meri neend magar tum ko is se kya
Bajte rahen hawaaon se dar, tumko is se kya
ﭨﻮﭨﯽ ﮨﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﻧﯿﻨﺪ ﻣﮕﺮ، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ
ﺑﺠﺘﮯ ﺭﮨﯿﮟ ﮨﻮﺍﺅﮞ ﺳﮯ ﺩﺭ، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ
Tum mauj mauj misl E sabaa ghoomte raho
Kat jayen meri soch ke par, tumko is se kya
ﺗﻢ ﻣﻮﺝ ﻣﻮﺝ ﻣﺜﻞِ ﺻﺒﺎ ﮔُﮭﻮﻣﺘﮯ ﺭﮨﻮ
ﮐﭧ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﻣﯿﺮﯼ ﺳﻮﭺ ﮐﮯ ﭘﺮ، ﺗُﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ
Auron ka haath thaamo, unhen raasta dikhaao
Main bhool jaoon apna hi ghar, tumko is se kya
ﺍﻭﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﮨﺎﺗﮫ ﺗﮭﺎﻣﻮ، ﺍﻧﮭﯿﮟ ﺭﺍﺳﺘﮧ ﺩﮐﮭﺎﺅ
ﻣﯿﮟ ﺑُﮭﻮﻝ ﺟﺎﺅﮞ ﺍﭘﻨﺎ ﮨﯽ ﮔﮭﺮ، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ
Abr E gurez paa ko barasne se kya gharaz
Seepi men ban na payen gohar tumko is se kya
ﺍﺑﺮِ ﮔﺮﯾﺰ ﭘﺎ ﮐﻮ ﺑﺮﺳﻨﮯ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﻏﺮﺽ
ﺳﯿﭙﯽ ﻣﯿﮟ ﺑﻦ ﻧﮧ ﭘﺎﺋﮯ گُہر، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ
Le jayein mujhko maal E Ghanimat ke saath udu
Tum ne to daal di hai sipar, tumko is se kya
ﻟﮯ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻣﺎﻝِ ﻏﻨﯿﻤﺖ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﻋﺪﻭ
ﺗﻢ ﻧﮯ ﺗﻮ ﮈﺍﻝ ﺩﯼ ﮨﮯ ﺳﭙﺮ، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ Tum Ne To Thak Ke Dasht Mein Kheme Laga Liye
Tanha Kate Kisi Ka Safar,Tum Ko Is Se Kya ﺗﻢ ﻧﮯ ﺗﻮ ﺗﮭﮏ ﮐﮯ ﺩﺷﺖ ﻣﯿﮟ ﺧﯿﻤﮯ ﻟﮕﺎ ﻟﯿﮯﺗﻨﮩﺎ ﮐﭩﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﺎ ﺳﻔﺮ، ﺗﻢ ﮐﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ Din Guzar Jain Gay Sarkar Koi Baat NahiNaye Kapre Badal Kar Jaon Kahan – Lyrics – Nasir KazmiAy Dost Zara Aur Kareeb E Rag E Jaan Ho – Lyrics
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO