Table of Contents
Thi Jis Ki Justuju Wo Haqeeqat Nahi Mili
Munir Niazi Poetry
Thi jis ki justuju wo haqeeqat nahi mili
In bastiyon mein hum ko rafaaqat nahi mili
تھی جس کی جستجو وہ حقیقت نہیں ملی
ان بستیوں میں ہم کو رفاقت نہیں ملی
Ab tak hain is gumaa’n mein ki hum bhi hain dahr mein,
Is wahm se nijaat ki soorat nahi mili
اب تک ہیں اس گماں میں کہ ہم بھی ہیں دہر میں
اس وہم سے نجات کی صورت نہیں ملی
Rahna tha us ke saath bahut der tak magar
In roz o shab mein mujh ko ye fursat nahi mili
رہنا تھا اس کے ساتھ بہت دیر تک مگر
ان روز و شب میں مجھ کو یہ فرصت نہیں ملی
Kahna tha jis ko us se kisi waqt mein mujhe
Is baat ke kalaam ki mohlat nahi mili
کہنا تھا جس کو اس سے کسی وقت میں مجھے
اس بات کے کلام کی مہلت نہیں ملی
Kuchh din ke baad us se juda ho gaye Muneer
Us bewafa se apni tabiyat nahi mili
کچھ دن کے بعد اس سے جدا ہو گئے منیرؔ
اس بے وفا سے اپنی طبیعت نہیں ملی Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe – PoetryDin Guzar Jain Gay Sarkar Koi Baat NahiWohi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jaao – Jaun EliaBheegi Hui Aankhon Ka Ye Manzar Na Milega – Bashir Badr Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO