Table of Contents
Thakan Se rah Mein Chalna Muhaal Bhi Hai Mujhe
Munir Niazi Poetry
thakan se rah mein chalna muhaal bhi hai mujhe
kamal par bhi tha main hi zawal bhi hai mujhe
sadak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main
yahin kahin hai tu ye ehtimal bhi hai mujhe
ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
main khwab mein to hun lekin khayal bhi hai mujhe
usi ke lutf se marne se khauf aata hai
usi ke dar se ye jina muhaal bhi hai mujhe
sawad-e-sham-e-safar hai jala jala sa ‘munir’
khushi ke sath ajab sa malal bhi hai mujhe
تھکن سے راہ میں چلنا محال بھی ہے مجھےکمال پر بھی تھا میں ہی زوال بھی ہے مجھے سڑک پہ چلتے ہوئے رک کے دیکھتا ہوں میںیہیں کہیں ہے تو یہ احتمال بھی ہے مجھے یہ میرے گرد تماشا ہے آنکھ کھلنے تکمیں خواب میں تو ہوں لیکن خیال بھی ہے مجھے اسی کے لطف سے مرنے سے خوف آتا ہےاسی کے ڈر سے یہ جینا محال بھی ہے مجھے سواد شامِ سفر ہے جلا جلا سا منیرؔخوشی کے ساتھ عجب سا ملال بھی ہے مجھے Husan Kay Jazeeron Mein Roop Kay Kinaron Par – Lyrics in UrduYehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi – Urdu Ghazal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO