Thak Gaye Ho To Thakan Chhord Ke Ja Sakte Ho
Thak gaye ho to thakan chhord ke ja sakte hoTum mujhy waqiyatan chhord ke ja sakte ho Ham darakhton ko kahan ata hai hijrat karnaTum parinde ho watan chhord ke ja sakte ho Tum se baaton me kuchh is darjah magan hota hoonMujh ko baaton me magan chhord ke ja sakte ho Jane wale se sawalat nahi hote miyanTum yahan apna badan chhord ke ja sakte ho Jana chaho to kisi waqt bhi khud se bahirApny andar ki ghutan chhord ke ja sakte ho تھک گئے ہو تو تھکن چھوڑ کے جا سکتے ہوتم مجھے واقعتاً چھوڑ کے جا سکتے ہو ہم درختوں کو کہاں آتا ہے ہجرت کرناتم پرندے ہو وطن چھوڑ کے جا سکتے ہو تم سے باتوں میں کچھ اس درجہ مگن ہوتا ہوں مجھ کو باتوں میں مگن چھوڑ کے جا سکتے ہو جانے والے سے سوالات نہیں ہوتے میاں تم یہاں اپنا بدن چھوڑ کے جا سکتے ہو جانا چاہو تو کسی وقت بھی خود سے باہر اپنے اندر کی گھٹن چھوڑ کے جا سکتے ہو عمار اقبال Sheher Sunsaan Hai Kidhar Jaaen – Nasir Kazmi PoetryChand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat HaiYe Jo Chehre Se Tumhen Lagte Hain Beemar Se Hum – Wasi Shah
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO