Teri Tarha Malal Mujhe Bhi Nahi Raha – Ghazal Poetry
teri tarha malal mujhe bhi nahi raha
ja ab tera khayal mujhe bhi nahi raha
تیری طرح ملال مجھے بھی نہیں رہا
جا، اب ترا خیال مجھے بھی نہیں رہا tu ne bhi mausamon ki pazirai chhod di
ab shauq-e-mah-o-sal mujhe bhi nahi raha تُو نے بھی موسموں کی پذیرائی چھوڑ دیاب شوقِ ماہ و سال مجھے بھی نہیں رہا mera jawab kya tha tujhe bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhe bhi nahi raha میرا جواب کیا تھا ، تجھے بھی خبر نہیںیاد اب ترا سوال، مجھے بھی نہیں رہا jis baat ka khayal na tu ne kabhi kiya
is baat ka khayal mujhe bhi nahi raha جس بات کا خیال نہ تُو نے کیا کبھیاُس بات کا خیال مجھے بھی نہیں رہا torda hai tu ne jab se mere dil ka aaina
andaza-e-jamal mujhe bhi nahi raha توڑا ہے تُو نے جب سے مرے دل کا آئینہاندازہء جمال مجھے بھی نہیں رہا ‘baqi’ mein apne fan se bada pur-khulus hun
is waste zawal mujhe bhi nahi raha باقی میں اپنے فن سے بڑا پُرخلوص ہوںاِس واسطے زوال مجھے بھی نہیں رہا Jo Uske Saamne Mera Yeh Haal Aa Jaye – Wasi ShahKabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko – LyricsKhuli Aankhon Mein Sapna Jhaankta Hai – Parveen Shakir PoetryJagti Raat Ke Honton Pe Fasanay Jaise – Wasi Shah
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO