Table of Contents
Teri Nazar Ke Isharon Se Khel Sakta Hoon
Saghar Siddiqui Romantic Poetry
Teri nazar ke isharon se khel sakta hoon
jigar farosh shararon se khel sakta hoon
ﺗﺮﯼ ﻧﻈﺮ ﮐﮯ ﺍﺷﺎﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ
ﺟﮕﺮ ﻓﺮﻭﺯ ﺷﺮﺍﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ tumhare daaman-e-rangeen ka aasra le kar
chaman ke mast nazaron se khel sakta hoon ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺩﺍﻣﻦ- ﺭﻧﮕﯿﮟ ﮐﺎ ﺁﺳﺮﺍ ﻟﮯ ﮐﺮﭼﻤﻦ ﮐﮯ ﻣﺴﺖ ﻧﻈﺎﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ kisi ke ehd-e-mohabbat ki yaad baqi hai
baDe haseen sahaaron se khel sakta hoon ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﻋﮩﺪ- ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﯾﺎﺩ ﺑﺎﻗﯽ ﮨﮯﺑﮍﮮ ﺣﺴﯿﻦ ﺳﮩﺎﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ maqam-e-hosh-o-khirad intiqame vehshat hai
junoon ki raah guzaron se khel sakta hoon ﻣﻘﺎﻡ- ﮨﻮﺵ ﻭ ﺧﺮﺩ ﺍﻧﺘﻘﺎﻡ- ﻭﺣﺸﺖ ﮨﮯﺟﻨﻮﮞ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﮔﺰﺍﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ mujhe khizan ke bagole salam karte hain
hayya farosh chanaron se khel sakta hoon ﻣﺠﮭﮯ ﺧﺰﺍﮞ ﮐﮯ ﺑﮕﻮﻟﮯ ﺳﻼﻡ ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟﺣﯿﺎ ﻓﺮﻭﺵ ﭼﻨﺎﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ sharab-o-sher k darya mein doob kar saghar
suroor-o-kef ke dhaaron se khel sakta hoon ﺷﺮﺍﺏ ﻭ ﺷﻌﺮ ﮐﮯ ﺩﺭﯾﺎ ﻣﯿﮟ ﮈﻭﺏ ﮐﺮ ﺳﺎﻏﺮﺳﺮﻭﺭ ﻭ ﮐﯿﻒ ﮐﮯ ﺩﮬﺎﺭﻭﮞ ﺳﮯ ﮐﮭﯿﻞ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ Hui Jis Sabab Ham Se Tum Se Judai – Bahadur Shah ZafarAb Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne – Nasir KazmiGul Tera Rang Chura Laye Hain – Ahmad Nadeem QasmiAarzuen Hazaar Rakhte Hain – Mir Taqi Mir
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO