Table of Contents
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Parveen Shakir Poetry
teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
تیری خوشبو کا پتا کرتی ہے
مجھ پہ احسان ہوا کرتی ہے
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
شب کی تنہائی میں اب تو اکثر
گفتگو تجھ سے رہا کرتی ہے
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
دل کو اس راہ پہ چلنا ہی نہیں
جو مجھے تجھ سے جدا کرتی ہے
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
زندگی میری تھی لیکن اب تو
تیرے کہنے میں رہا کرتی ہے
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
اس نے دیکھا ہی نہیں ورنہ یہ آنکھ
دل کا احوال کہا کرتی ہے
sham parte hi kisi shakhs ki yad
kucha-e-jan main sada karti hai
شام پڑتے ہی کسی شخص کی یاد
کوچہء جاں میں صدا کرتی ہے
mujh se bhi us ka hai waisa hi salook
haal jo tera ana karti hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
bat kuch aur hua karti hai
دکھ ہوا کرتا ہے کچھ اور بیاں
بات کچھ اور ہوا کرتی ہے
abr barse to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai
ابر برسے تو عنایت اس کی
شاخ تو صرف دعا کرتی ہے
masla jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai
مسئلہ جب بھی اٹھا چراغوں کا
فیصلہ صرف ہوا کرتی ہے
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat Indori
Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahi – Jaun Elia Poetry Lyrics
Dunya Jise Kehte Hain Jadu Ka Khilona Hai – Urdu Poetry Lyrics
Follow On Us Social Media:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm