Table of Contents
Tere Gale Mein Jo Bahon Ko Daal Rakhte Hain
Wasi Shah Poetry
Tere gale mein jo bahon ko daal rakhte hainTujhe manane ka kesa kamaal rakhte hain ترے گلے میں جو بانہوں کو ڈال رکھتے ہیںتجھے منانے کا کیسا کمال رکھتے ہیں Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir humBohat se kaam muqadar par taal rakhte hain تجھے خبر ہے تجھے سوچنے کی خاطر ہمبہت سے کام مقدر پہ ٹال رکھتے ہیں Koi bhi faisla hum soch kar nahin karteTumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain کوئی بھی فیصلہ ہم سوچ کر نہیں کرتےتمہارے نام کا سِکّہ اُچھال رکھتے ہیں Tumhare baad ye aadat si ho gayi apniBikharte sookhtey patey sambhaal rakhte hain تمہارے بعد یہ عادت سی ہو گئی اپنیبِکھرتے سُوکھتے پتّے سنبھال رکھتے ہیں Khushi si milti hai khud ko aziyaten de karSo jaan boojh kar dil ko nidhaal rakhte hain خوشی سی ملتی ہے خود کو اذیّتیں دے کرسو جان بوجھ کر دل کو نڈھال رکھتے ہیں Kabhi kabhi woh hans kar dekh lete hainKabhi kabhi mera be-hadh khayal rakhte hain کبھی کبھی وہ مجھے ہنس کے دیکھ لیتے ہیںکبھی کبھی مرا بے حد خیال رکھتے ہیں Tumhare hijar mein ye haal ho gaya apnaKisi ka khat ho ussey bhi sambhaal rakhte hain تمہارے ہجر میں یہ حال ہو گیا اپناکسی کا خط ہو اُسے بھی سنبھال رکھتے ہیں Khushi mile to tere baad khushi nahin hotiHum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain خوشی ملے بھی ترے بعد خوش نہیں ہوتےہم اپنی آنکھ میں ہر دم ملال رکھتے ہیں Phiroon Dhoodtha Maikada Tauba Tauba – NFAK LyricsChaand Maddham Hai Aasmaan Chup Hai – Sahir LudhianviBhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Huye – Ghazal PoetryUjad De Mere Dil ki Dunya – Heart Touching Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO