Table of Contents
Tasleem-o-Raza
Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Har Shakh Se Ye Nukta-e-Pecheeda Hai Paida
Poudon Ko Bhi Ehsas Hai Pehnaye Faza Ka
ہر شاخ سے يہ نکتہ پيچيدہ ہے پيدا
پودوں کو بھي احساس ہے پہنائے فضا کا
Zulmat Kada-e-Khak Pe Shakir Nahin Rehta
Har Lehza Hai Dane Ko Junoon Nash-o-Nama Ka
ظلمت کدئہ خاک پہ شاکر نہيں رہتا
ہر لحظہ ہے دانے کو جنوں نشوونما کا
Fitrat Ke Taqazon Pe Na Kar Rah-e-Amal Band
Maqsood Hai Kuch Aur Hi Tasleem-o-Raza Ka
فطرت کے تقاضوں پہ نہ کر راہ عمل بند
مقصود ہے کچھ اور ہي تسليم و رضا کا
Jurrat Ho Namoo Ki Tu Faza Tang Nahin Hai
Ae Mard-e-Khuda, Mulk-e-Khuda Tang Nahin Hai!
جرات ہو نمو کي تو فضا تنگ نہيں ہے
اے مرد خدا، ملک خدا تنگ نہيں ہے
Ghulamon Ki Namaz – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry
Ilm-o-Ishq – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De – Allama Iqbal Poetry
Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be Niazi – Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO