Tar Hue Khoon Mein Kabhi Khaak Pehn Kar Aaye
Tar Hue Khoon Mein Kabhi Khaak Pehn Kar Aaye
Ham Hamesha Nayi Poshaak Pehn Kar Aaye
تَر ہوئے خوں میں کبھی خاک پہن کر آئے
Ek Ajab Rang Se Nikla wo Sar_e_Raah Ke Log
Jism Par Deeda_e_Bay Baak Pehn Kar Aaye
اک عجب رنگ سے نکلا وہ سرِ راہ کہ لوگ
Hum Ne Sadiyon Ki Hathaili Rakhi Hain Aankhen
Koi Lamha Tera Idraak Pehn Kar Aaye
ہم نے صدیوں کی ہتھیلی پہ رکھی ہیں آنکھیں
Saaniha Kon Sa Guzra Hai Saba Se Poocho
Chand Jhonke Khass 0 Khaashaak Pehn Kar Aaye
سانحہ کون سا گذرا ہیے صبا سے پوچھو
Ashk_e_Shehr_e_Shab_e_Gham Apni Dua Hai K Kabhi
Misl_e_Khursheed Tu Aflaak Pehn Kar Aaye
اشکِ شہرِ شب غم اپنی دعا ہیے کہ کبھی
Zakhm Ko Zidd Thi Maseehaai Se Ab Ke warna
Harf_e_Marham Kayi Chalaak Pehn Kar Aaye
زخم کو ضد تھی مسیحائی سے اب کہ ورنہ
Aaj Milna Tha UsSe Zakhm Chupa Kar Mohsin
Hum Magar Jama_e_Sadd Chaak Pehn Kar Aaye
آج ملنا تھا اُسے زخم چھپا کر محسن
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO