Table of Contents
Talba-e-Ali Garh College Ke Naam
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur Hai
Bang-e-Dara – Allama Iqbal Poetry
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur Hai
Ishq Ke Dardmand Ka Tarz-e-Kalaam Aur Hai
اوروں کا ہے پيام اور ، ميرا پيام اور ہے
عشق کے درد مند کا طرز کلام اور ہے
Taair-e-Zair-e-Daam Ke Naale Tu Sun Chukke Ho Tum
Ye Bhi Suno Ke Nala-e-Tair-e-Baam Aur Hai
طائر زير دام کے نالے تو سن چکے ہو تم
يہ بھی سنو کہ نالۂ طائر بام اور ہے
At Thi Koh Se Sada Raaz-e-Hayat Hai Sukoon
Kehta Tha Moor-e-Natwan Lutf-e-Kharaam Aur Hai
آتی تھی کوہ سے صدا راز حيات ہے سکوں
کہتا تھا مور ناتواں لطف خرام اور ہے
Jazb-e-Haram Se Hai Farough Anjuman-e-Hijaz
Iss Ka Maqam Aur Hai, Iss Ka Nizam Aur Hai
جذب حرم سے ہے فروغ انجمن حجاز کا
اس کا مقام اور ہے ، اس کا نظام اور ہے
Mout Hai Aysh-e-Javidan, Zuaq-e-Talab Agar Na Ho
Gardish-e-Adami Hai Aur, Gardish-e-Jaam Aur Hai
موت ہے عيش جاوداں ، ذوق طلب اگر نہ ہو
گردش آدمی ہے اور ، گردش جام اور ہے
Shama-e-Sehar Ye Keh Gyi Souz Hai Zindagi Ka Saaz
Ghamkuda-e-Namood Mein Shart-e-Dawam Aur Hai
شمع سحر يہ کہہ گئی سوز ہے زندگی کا ساز
غم کدۂ نمود ميں شرط دوام اور ہے
Badah Hai Neem Ras Abhi, Shuaq Hai Na-Rasa Abhi
Rehne Do Khum Ke Sar Pe Tum Khisht-e-Kaleesiya Abhi
بادہ ہے نيم رس ابھی ، شوق ہے نارسا ابھی
رہنے دو خم کے سر پہ تم خشت کليسيا ابھی
Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab! – Aik Arzoo
Zmastani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi – Iqbal
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana – Iqbal
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-Maqaam Se Guzar – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO