Table of Contents
Tabiyat In Dinon Begana-E-Gham Hoti Jati Hai
Begum Akhtar Lyrics
Poet: Jigar Muradabadi
Tabiyat in dinon begana-e-gham hoti jaati hai,
Mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai
طبیعت ان دنوں بیگانۂ غم ہوتی جاتی ہے
مرے حصے کی گویا ہر خوشی کم ہوتی جاتی ہے
Sahar hone ko hai, bedaar shabnam hoti jaati hai,
Khushi minjumala-o-asbaab-e-maatam hoti jaati hai
سحر ہونے کو ہے، بیدار شبنم ہوتی جاتی ہے
خوشی منجملۂ اسبابِ ماتم ہوتی جاتی ہے
Qayamat kya, ye ae husn-e-do-aalam hoti jaati hai,
Ki mehfil to wahi hai, dilkashi kam hoti jaati hai
Ki mehfil to wahi hai, dilkashi kam hoti jaati hai
قیامت کیا یہ اے حسنِ دو عالم ہوتی جاتی ہے
کہ محفل تو وہی ہے دل کشی کم ہوتی جاتی ہے
Wohi mai-khaana-o-sehbaa wahi saagar wahi sheesha
Magar aawaaz-e-nausha-nosh maddham hoti jaati hai
Magar aawaaz-e-nausha-nosh maddham hoti jaati hai
وہی مے خانہ و صہبا، وہی ساغر، وہی شیشہ
مگر آوازِ نوشا نوش مدّھم ہوتی جاتی ہے
Wohi hai shaahid-o-saaqi, magar dil bujhta jaata hai,
Wohi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai
Wohi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai
وہی ہیں شاہدو ساقی، مگر دل بجھتا جاتا ہے
وہی ہے شمع، لیکن روشنی کم ہوتی جاتی ہے
Wohi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi,
Wohi dil hai magar aawaaz maddham hoti jaati hai
Wohi dil hai magar aawaaz maddham hoti jaati hai
وہی شورش ہے لیکن جیسے موجِ تہ نشیں کوئی
وہی دل ہے مگر آواز مدّھم ہوتی جاتی ہے
Wahi hai zindagi lekin ‘Jigar’ ye haal hai apna,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
وہی ہے زندگی لیکن جگرؔ یہ حال ہے اپنا
کہ جیسے زندگی سے زندگی کم ہوتی جاتی ہے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO