Table of Contents
Soz e gham De Ke Mujhe Uss Ne Ye Irshad Kiya
Urdu Poetry by Josh Malihabadi
Soz e gham De Ke Mujhe Uss Ne Ye Irshad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya
سوزِ غم دے کے مجھے اس نے یہ ارشاد کیا
جا تجھے کشمکشِ دہر سے آزاد کیا
Woh Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya
وہ کریں بھی تو کن الفاظ میں تیرا شکوہ
جن کو تیری نگہِ لطف نے برباد کیا
Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya
دل کی چوٹوں نے کبھی چین سے رہنے نہ دیا
جب چلی سرد ہوا، میں نے تجھے یاد کیا
Aisay Main,So Jaan Say Ess Tarz e Takkalum Pe Nisar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya
اے میں سو جان سے اس طرزِ تکلم کے نثار
پھر تو فرمائیے، کیا آپ نے ارشاد کیا
Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya
اس کا رونا نہیں کیوں تم نے کیا دل برباد
اس کا غم ہے کہ بہت دیر میں برباد کیا
Itna Manoos Hoon Fitrat se, Kali Jab Chutki
Jhuk Ke Meine Kaha, Mujhse Kuch Irshad Kiya
اتنا مانوس ہوں فطرت سے، کلی جب چٹکی
جھک کے میں نے یہ کہا، مجھ سے کچھ ارشاد کیا
Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya
مجھ کو تو ہوش نہیں تم کو خبر ہو شاید
لوگ کہتے ہیں کہ تم نے مجھے برباد کیا
Kuch Nahi Iss Ke Siva Josh Hareefon Ka Kalam
Vasal Ne Shad Kiya Hijr Ne Nashad Kiya
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO