Sheikh Saadi Quotes In Urdu
Sheikh Saadi Quotes in Urdu. Best Collection of urdu quotes of Sheikh Saadi
Zindagi ka raz sabr mein poshida hai
– sheikh saadi
agar tum chahte ho tumhara naam zinda rahe
tou aulad ko ache ikhlaq sikhao
– sheikh saadi
Moti agar kichar mein bhi gir jaye tou bhi qeemti,
gard agar asmaan per bhi chard jaye tou bhi be-qeemat
– sheikh saadi
Jo shakhs doosron ke gham say be-gham hai aadmi kehlane ka haqdar nahi hai.
– sheikh saadi
Dushman sy hamesha bachho or doston say us waqt tak
jab taj woh tumhari tareef karne lage
– sheikh saadi
Agar cherion mein itehad ho jaye tou
woh sher ki khaal utaar sakti hain
– sheikh saadi
Aqalmand us wat tak nahin bolta
jab tak khamoshi nahi ho jati
– sheikh saadi
Musibat ko poshida rakhna jawanmardi hai
– sheikh saadi
Mutalea’a gham or udasi ka behtreen ilaj hai
– sheikh saadi
Achi adaat ki malika aurat agar faqeer ke ghar bhi ho
tou ussay badshah bana deti hai
– sheikh saadi
dost woh hai jo dost ka hath pareshan haal
or tangi mein pakarta hai
– sheikh saadi
Buron ke sath naiki karna aisa hi hai jaise
naikon ke sath burai karna
– sheikh saadi
bhook or masqeeni mein zindagi guzarna kisi kameeney
ke saamne dast-e-sawaal karne say behter hai
– sheikh saadi
Jo koi apni kamai say roti khata hai
ussy hatim tai ka ehsan uthana nahi parta
– sheikh saadi
sab danaon ka us par itefaq hai keh haq shanaas kutta
na shukr guzar insaan say behtr hai
– sheikh saadi
jo shakhs apne say ziada taqatwar insan zor azmai karta hai
woh apne aap ko tabah karne mein madad karta hai
– sheikh saadi
Khuda ke doston ki anderi raat bhi
roz-e-roshan ki tarah chamakti hai
– sheikh saadi
kamzor dushman ata’at qabool kare or dost ban jaye
uska maqsad iske elawa or kuch nahi
keh woh mazboot duhman ban’na chahta hai
– sheikh saadi
nah tu is qadar sakhti kar keh log tujhe say tang
ajain or n ais qadar narmi kr tujhpar hamla kar dain
– sheikh saadi
jo shakhs taqat ke dinon mein naiki nahi karta
za’af ke dinon mein takleef uthata hai
– sheikh saadi
jo shakhs duhsman sy sulah karta hai suuay
doston ko azaar pohnchane ka khayal hai.
– sheikh saadi
Ahista ahista magar musalsal chalna kamiabi ki almat hai
– sheikh saadi
in aqwal ko apne doston ke sath share krain. Shukriya!