Sheikh Saadi Life Changing Quotes in Urdu
Sheikh Saadi Life Quotes in Urdu (Part 2)
Achi Adaat ki malikah qurat agar faqeer ke ghar mein bhi ho
tou ussy badshah bna deti hai
mazloom ki takleef tou chand sa’at ki hoti hai
magar zalim abdi neend mein mubtil aho jata hai
Bare bare mutakbaron or sar-kashon bhi
Khuda ke samne jhuke bghair chara nahi
Agar tawakkal seekhna hai tou parindon say seekhi keh woh jab
sham ko apne gharom mien jaat ehain tou unki choonch mein
kal k eliy eaik dana nahi hota
Aadmi ka jhoota hone ke liye itna kaafi hai keh
woh har suni sunai baat par yaqeen kar le
tu naik ho or log tujhe bura kahein ye es say acha hai keh
tu bura ho or log tujhe naik kahain
Zindagi ki darazi ka raaz
sabar mein poshida hai
insaan ke ilm k aandaza tou aik din ho he jata hai lekin
nafas ki khabasat ka pata barson mein bhi chalta
insaan ko jitna lagai rizq say hai agar utna lagao
rizq dene wale say hota tou aaj
insaan ka maqam farishton say barh kar hota
Kamzoron par reham na khane wala
taqatwaron say maar khata hai
Mutale’aa gham or udaasi ka behtreen ilaj hai
Suhman Say bacho or dost say us waqt jab woh
tumhari ta’areef karne lage
Ehsaas kya hai?
doosron ki takleef ko apni takleef smajhna
Fikr-e-Akhirat Qalb ka charagh hai
jab woh na rahega tou qalb ki rohni jati rahegi
Sab se ziada sakhat gunah woh hai jo
uske karne wale ki nazar mein chota ho
Bache ki tamam zaruriat ko khud pura kari or ussy aise umda tareeqe say
rakho keh woh doosron ki jani na dekhy
Dunya be-wafa or intahi na-qabile aetibar hai
es say faida wohi uthata hai jo issay
makhlooq-e-Khuda ki islah or falah mein lagata hai
Aapki ikhlaq ki qadr bhi log uss waqt krain gy jab aapke paas dolat
or taqt ho. Ghareeb jitna kitna he khush ikhlaaq ho
log uske ikhlaq ko uski majboori smajhte hain
es say tou khamoshi behter hai kisi ko dil ki baat keh kar
phir us say kaha jaye keh kisi say na kehna
Yeh zaroori nahi keh jo khoobsurat ho woh naik seerat bhi ho
kaam ki cheez andar hoti hai bahir nahi
Haqeeqi bara tou woh hai jo aone har chote ko pehchanta ho
or uski zarooriat ka khayal rakhta ho
Read More:
Urdu Life Quotes – Powerful Urdu Quotes About Life
Sheikh Saadi Quotes In Urdu With Images (Part 1)