Sheikh Saadi Life Changing Quotes in Urdu
Sheikh Saadi Life Quotes – Life Changing Urdu Quotes
Mere paas waqt nahi hai un logon se nafrat karne ka jo mujh se nafrat karte hain
kyunkay mein masroof rehta hon ho un logon mein jo mujh se mohabbat karte hain .
میرے پاس وقت نہیں ہے ان لوگوں سے نفرت کرنے کا جو مجھ سے نفرت کرتے ہیں۔
کیونکہ میں مصروف رہتا ہوں ان لوگوں میں جو مجھ سے محبت کرتے ہیں۔
Achi aadat ki maalik naik aur paarsa aurat kisi faqeer ke ghar mein bhi ho
to usay badshah bana deti hai .
اچھی عادت کی مالکہ نیک اور پارسا عورت کسی فقیر کے گھر میں بھی ہو
تو اسے بادشاہ بنا دیتی ہے۔
Taajub hai Allah apni itni saari makhlooq mein se mujhe nahi bhoolta
aur mera to aik hi Allah hai mein usay bhool jata hon .
تعجب ہے اللہ اپنی اتنی ساری مخلوق میں سے مجھے نہیں بھولتا ا
ور میرا تو ایک ہی اللہ ہے میں اسے بھول جاتا ہوں۔
Agar chahtay ho ke tumhara naam baqi rahay
to apne bachon ko achay ikhlaq seekhao.
اگر چاہتے ہو کہ تمہارا نام باقی رہے
تو اپنے بچوں کو اچھے اخلاق سکھاؤ۔
Agar chiryon mein itehaad ho jaye to woh sher ki khaal utaar sakti hain .
اگر چڑیوں میں اتحاد ہو جائے تو وہ شیر کی کھال اُتار سکتی ہیں۔
Dushman se hamesha bachcho
aur dost se is waqt jab woh tumhari tareef karne lagey.
دشمن سے ہمیشہ بچو
اور دوست سے اس وقت جب تمہاری تعریف کرنے لگے۔
Apne se achay ko talaash kar apne jaisay ke sath to Umar zaya kere ga.
اپنے سے اچھے کو تلاش کراپنے جیسے کے ساتھ تو عمر ضائع کرے گا۔
Badshahon ko wohi naseehat karsakta hai jis ko na sar ka khauf ho na zar ki tamanna.
بادشاہوں کو وہی نصیحت کر سکتا ہے جس کو نہ سر کا خوف ہو نہ زر کی تمنا۔
Insaan khaak se bana hai, agar is mein khaksari nahi to is ka hona na hona barabar hai.
انسان خاک سے بنا ہے، اگر اس میں خاکسری نہیں تو اس کا ہونا نہ ہونا برابر ہے۔
Jo shakhs bachpan mein tameez nahi seekhta bara ho kar bhi nahi seekhta.
جو شخص بچپن میں تمیز نہیں سیکھتا وہ بڑا ہو کر بھی نہیں سیکھتا۔
Ikhtilafat par sabar karna aur doosron ko bardasht karna hi ikhlaq hai.
اختلاف پر صبر کرنا اور دوسروں کو برداشت کرنا ہی اخلاق ہے۔
Is sy to khamoshi behtar hai k kisi ko dill ki bat bta kr phir us sy kaha jaye k kisi mat btana.
اس سے تو خاموشی بہتر ہے کہ کسی کو دل کی بات بتا کر پھر اس سے کہا جائے کہ کسی کو مت بتانا۔
Jahilon ka tareeqa ye hai k jab un ki daleel muqabil k aAgy nahi chalti to wo larna shuru kr dety hen.
جاہلوں کا طریقہ یہ ہے کہ جب ان کی دلیل مقابل کے آگے نہیں چلتی تو وہ لڑنا شروع کر دیتے ہیں
Aadmi ke jhoota hone ke liye itna hi kaafi hai ke woh har suni sunai baat par yaqeen kar le .
آدمی کے جھوٹا ہونے کے لیے اتنا ہی کافی ہے کہ وہ ہر سنی سنائی بات پر یقین کر لے۔
Ikhtilafat par sabar karna aur doosron ko bardasht karna hi ikhlaq hai.
اختلاف پر صبر کرنا اور دوسروں کو برداشت کرنا ہی اخلاق ہے۔
Aap k Ikhlaq ki qadar bhi log us waqt jab aap k pas dolat or taqat ho.
Ghareeb kitna hi khush ikhlaq ho log us k ikhlaq ko uski majboori smajhaty hen.
آپ کے اخلاق کی قدر بھی لوگ اسی وقت کریں گےجب آپ کے پاس دولت اور طاقت ہو
غریب کتنا ہی خوش اخلاق ہو لوگ اس کے اخلاق کو اسکی مجبوری سمجھتے ہیں
20+ Ibn-e-Sina Famous Quotes in Urdu – Urdu Life Quotes
20+ Salahuddin Ayubi Inspirational Quotes in Urdu – Ayubi Saying
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO