
Table of Contents
Sharma Gaye Laja Gaye Daman Churda Gaye
Jigar Muradabadi Poetry
sharma gaye laja gaye daaman churda gaye
ay ishq marhaba wo yahan tak to aa gaye
شرما گئے، لجا گئے، دامن چھڑا گئے
اے عشق! مرحبا، وہ یہاں تک تو آگئے
dil par hazar tarah ke auhaam chhaa gaye
yeh tum ne kya kiya meri duniya mein aa gaye
دل پر ہزار طرح کے اوہام چھا گئے
یہ تم نے کیا کیا، مری دنیا میں آگئے
sab kuch luta ke raah mohabbat mein ahal dil
khush hain ke jaisay doulat konain pa gaye
سب کچھ لٹا کے راہ محبت میں اہل دل
خوش ہیں کہ جیسے دولت کونین پا گئے
sehn-e-chaman ko apni baharon pe naaz thha
wo aa gaye to saari bahaaron pe cha gaye
صحن چمن کو اپنی بہاروں پہ ناز تھا
وہ آگئے تو ساری بہاروں پہ چھا گئے
aqal o junoo mein sab ki theen rahein juda juda
har phir ke lekin aik hi manzil pay aagaye
عقل و جنوں میں سب کی تھیں راہیں جدا جدا
ہر پھر کے لیکن ایک ہی منزل پہ آگئے
ab kya karoon main fitrat-e-nakaam-e-ishq ko
jitne thhe haadsaat mujhe raas aa gaye
اب کیا کروں میں فطرت ناکام عشق کو
جتنے تھے حادثات، مجھے راس آگئے
Apnon Ki Be Rukhi Se Faramosh Ho Gaye – Urdu Heart Broken Poetry
Aey Ishq Hamari Galiyon Mein – Heart Touching Urdu Poetry
Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui – Jaun Elia Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO