Shahon Ki Tarah Thy Na Ameeron Ki Tarah Thy
Shahon ki tarah thy na Ameeron ki tarah thy
Ham Sheher E Mohabbat k Faqeeron ki tarah thy
شاہوں کی طرح تھے نہ امیروں کی طرح تھے
ہم شہر محبت کے فقیروں کی طرح تھے
Daryaon mein hoty thay Jazeeron ki tarah ham
Sehraon mein Pani k Zakheron ki tarah thy
دریاؤں میں ہوتے تھے جزیروں کی طرح ہم
صحراؤں میں پانی کے ذخیروں کی طرح تھے
Afsos ke samjha na hamein Ehel E Nazar ny
Ham waqt ki Zanmbeel mein Heeron ki tarah thy
افسوس کے سمجھا نہ ہمیں اہل نظر نے
ہم وقت کی زنبیل میں ہیروں کی طرح تھے
Hairat hai k woh log bhi ab chhor chaly hain
Jo meri Hatheli py Lakeron ki tarah thy
حیرت ہے کہ وہ لوگ بھی اب چھوڑ چلے ہیں
جو میری ہتھلی پہ لکیروں کی طرح تھے
Sochi na Buri soch kabhi un k liay bhi
Pevast mery dil mein jo Teeron ki tarah thy
سوچی نہ بری سوچ کبھی ان کے لئے بھی
پیوستہ میرے دل میں جو تیروں کی طرح تھے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZ