
Table of Contents
Shaheen – Allama Iqbal Poetry
Bal-e-Jibril
Kiya Mein Ne Uss Khakdan Se Kinara
Jahan Rizq Ka naam Hai Aab-o-Dana
کيا ميں نے اس خاک داں سے کنارا
جہاں رزق کا نام ہے آب و دانہ
Bayaban Ki Khalwat Khush Ati Hai Mujh Ko
Azal Se Hai Fitrat Meri Rahbana
بياباں کي خلوت خوش آتي ہے مجھ کو
ازل سے ہے فطرت مري راہبانہ
Na Bad-e-Bahari, Na Gulcheen, Na Bulbul
Na Beemari-e-Naghma-e-Ashiqana
نہ باد بہاري ، نہ گلچيں ، نہ بلبل
نہ بيماري نغمہ عاشقانہ
Khayabanion Se Hai Parhaiz Lazim
Adaen Hain In Ki Bohat Dilbarana
خيابانيوں سے ہے پرہيز لازم
ادائيں ہيں ان کي بہت دلبرانہ
Hawa-e-Bayaban Se Hoti Hai Kari
Jawan Mard Ki Zarbat-e-Ghaziyana
ہوائے بياباں سے ہوتي ہے کاري
جواں مرد کي ضربت غازيانہ
Hamam-o-Kabootar Ka Bhooka Nahin Main
Ke Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana
حمام و کبوتر کا بھوکا نہيں ميں
کہ ہے زندگي باز کي زاہدانہ
Jhapatna, Palatna, Palat Kar Jhapatna
Lahoo Garam Rakhne Ka Hai Ek Bahana
جھپٹنا ، پلٹنا ، پلٹ کر جھپٹنا
لہو گرم رکھنے کا ہے اک بہانہ
Ye Poorab, Ye Pacham Chakoron Ki Dunya
Mera Neelgun Asman Baikarana
يہ پورب ، يہ پچھم چکوروں کي دنيا
مرا نيلگوں آسماں بيکرانہ
Prindon Ki Dunya Ka Dervaish Hun Mein
Ke Shaheen Banata Nahin Ashiyana
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar – Allama IqbalZmastani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi – IqbalDhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO