
Table of Contents
Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda
Bal-e-Jibril
Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda
Galat Tha Ae Junoon Shaid Tera Andaza’ay Sehra
سما سکتا نہيں پہنائے فطرت ميں مرا سودا
غلط تھا اے جنوں شايد ترا اندازہ صحرا
Khudi Se Iss Tilism-E-Rang-O-Boo Ko Torh Sakte Hain
Yehi Touheed Thi Jis Ko Na Tu Samjha Na Mein Samjha
خودی سے اس طلسم رنگ و بو کو توڑ سکتے ہيں
يہی توحيد تھی جس کو نہ تو سمجھا نہ ميں سمجھا
Nigah Payda Kar Ae Ghafil Tajali Aen-E-Fitrat Hai
Ke Apni Mouj Se Begana Reh Sakta Nahin Darya
نگہ پيدا کر اے غافل تجلی عين فطرت ہے
کہ اپنی موج سے بيگانہ رہ سکتا نہيں دريا
Raqabat Ilm-O-Irfan Mein Galat Beeni Hai Manbar Ki
Ke Woh Hallaj Ki Sooli Ko Samjha Hai Raqeeb Apna
رقابت علم و عرفاں ميں غلط بينی ہے منبر کی
کہ وہ حلاج کی سولی کو سمجھا ہے رقيب اپنا
Khuda Ke Pak Bandon Ko Hukoomat Mein, Ghulami Mein
Zirah Koi Agar Mehfooz Rakhti Hai To Istagna
خدا کے پاک بندوں کو حکومت ميں ، غلامی ميں
زرہ کوئی اگر محفوظ رکھتی ہے تو استغنا
Na Kar Taqleed Ae Jibraeel Mere Jazb-O-Masti Ki
Tan Asan Arshiyon Ko Zikr-O-Tasbeeh-O-Taawaf Aola
نہ کر تقليد اے جبريل ميرے جذب و مستی کی
تن آساں عرشيوں کو ذکر و تسبيح و طواف اولی
Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad – Allama Iqbal
Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon – Allama Iqbal
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana – Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO