Sach To Ye Hai Keh Tamannaon Ki Jaan Hoti Hai
sach to ye hai keh tamannaon ki jaan hoti hai
wahi ek baat jo hairat mein nihan hoti hai
haal kah dete hain nazuk se ishaare akasr
kitni khamosh nigahon ki zaban hoti hai
mere ehsas o tafakkur mein sulagti hai jo aag
wahi mazlum ke ashkon mein nihan hoti hai
hae wo waqt ki jab un ki hasin aankhon se
ek pur-kaif tajalli si ayan hoti hai
log kahte hain jise husn-e-ada ki shokhi
yahi rangin ishaaron ka bayan hoti hai
kitni pyari hai wo masum tamanna ai dost
jo tazabzub ki fazaon mein jawan hoti hai
سچ تو یہ ہے کہ تمناؤں کی جاں ہوتی ہےوہی اک بات جو حیرت میں نہاں ہوتی ہے حال کہہ دیتے ہیں نازک سے اشارے اکثرکتنی خاموش نگاہوں کی زباں ہوتی ہے میرے احساس و تفکر میں سلگتی ہے جو آگوہی مظلوم کے اشکوں میں نہاں ہوتی ہے ہائے وہ وقت کہ جب ان کی حسیں آنکھوں سےایک پر کیف تجلی سی عیاں ہوتی ہے لوگ کہتے ہیں جسے حسن ادا کی شوخییہی رنگین اشاروں کا بیاں ہوتی ہے کتنی پیاری ہے وہ معصوم تمنا اے دوستجو تذبذب کی فضاؤں میں جواں ہوتی ہے مہیش چندر نقش Sheher Sunsaan Hai Kidhar Jaaen – Nasir Kazmi PoetryChashm-E-Saqi Ne Ye Kiya Khel Racha Rakha Hai – ShayariYe Jo Chehre Se Tumhen Lagte Hain Beemar Se Hum – Wasi ShahLo Apna Jahan Ay Duniya Walo Hum Is Duniya Ko Chor Chaly
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO