Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Waajib Me Abdiyat Kaha
Hairan Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
ممکن میں یہ قدرت کہاں واجب میں عبدیت کہاں
Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Aalam E Imkaan Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
حق یہ کہ ہیں عبدِ اِلٰہ، اور عالمِ امکاں کے شاہ
Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Jaanfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
بلبل نے گُل اُن کو کہا، قمری نے سردِ جانفزا
Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar
Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
خورشید تھا کس زور پر، کیا بڑھ کے چمکا تھا قمر
Dar Tha Ki Isyaan Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza
Dee Unki Rehmat Ne Sadaa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
ڈر تھا کہ عصیاں کی سزا اب ہوگی یا روزِ جزا
Koyi Hai Naazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yaan Hai Faqat Teri Ataa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
کوئی ہے نازاں زہد پر ، یا حسن توبہ ہے سِپر
Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
دن لَہَو میں کھونا تجھے ، شب صبح تک سونا تجھے
Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farmaan E Haq Taala Kiya
Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
رزقِ خدا کھایا کِیا ، فرمانِ حق ٹالا کِیا
Hai Bulbule Rangi Raza Ya Tutiye Nagma Saraa
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
ہے بلبلِ رنگیں رضا یا طُوطیء نغمہ سرا
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO