
Table of Contents
Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Mein Ruswa Nahin Hua
Munir Niazi Poetry
Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Mein Ruswa Nahin Hua
Itna Mein Chup Hua K Tamaasha Nahin Hua
رنج فراق یار میں رسوا نہیں ہوا
اتنا میں چپ ہوا کہ تماشا نہیں ہوا Aisa Safar Hai Jis Mein Koi Ham’safar Nahin
Rasta Hai Is Tarah Ka K Dekha Nahin Hua ایسا سفر ہے جس میں کوئی ہم سفر نہیںرستہ ہے اس طرح کا جو دیکھا نہیں ہوا
Mushkil Hua Hai Rehna Hamein Is Dayaar Mein
Barson Yaha’n Rahe Hain Ye Apna Nahin Hua
مشکل ہوا ہے رہنا ہمیں اس دیار میںبرسوں یہاں رہے ہیں یہ اپنا نہیں ہوا
Wo Kaam Shaah-E-Shehar Se Ya Shehar Se Hua
Jo Kaam Bhi Hua Hai Woh Achha Nahin Hua
وہ کام شاہ شہر سے یا شہر سے ہواجو کام بھی ہوا ہے وہ اچھا نہیں ہوا
Milna Tha Us Se Aik Baar Phir Kahin Munir
Aisa Mein Chaahta Tha Par Aisa Nahin Hua
ملنا تھا ایک بار اسے پھر کہیں منیرؔایسا میں چاہتا تھا پر ایسا نہیں ہوا Bhalay Dino Ki Baat Hai Bhali Si Ek Shakal Thi – Ahmad FarazGungunaaty Hue Aanchal Ki Hawa De Mujh Ko – Wasi ShahMizaaj Hum Se Ziada Juda Na Tha Us Ka – Ahmad Faraz
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO