Table of Contents
Rahiye Ab Aisi Jagah Chal Kar – Mirza Ghalib Poetry
رہیے اب ایسی جگہ چل کر جہاں کوئی نہ ہو- مرزا غالب
Rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho
Ham-sukhan koi na ho aur ham-zaban koi na ho
رہیے اب ایسی جگہ چل کر جہاں کوئی نہ ہو
ہم سخن کوئی نہ ہو اور ہم زباں کوئی نہ ہو
Be-dar-o-diwar sa ek ghar banaya chahiye
Koi ham-saya na ho aur pasban koi na ho
بے درودیوار سا اک گھر بنایا چاہئیے
کوئی ہمسایہ نہ ہو اور پاسباں کوئی نہ ہو
Padiye gar bimar to koi na ho timardar
Aur agar mar jaiye to nauha-khwan koi na ho
پڑیے گر بیمارتو کوئی نہ ہو تیماردار
اور اگر مر جائیے تو نوحہ خواں کوئی نہ ہو
Read More:
Bas Ke Dushwar Hai Har Kam Ka Asan Hona – Mirza Ghalib
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Keh Tu Kya Hai – Mirza Ghalib Ghazal
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota – Mirza Ghalib