Table of Contents
Raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
Dil buhat kuch jala ke daikh leya
رازِ الفت چھپا کے دیکھ لیا
دل بہت کچھ جلا کے دیکھ لیا
Or kiya daikhne ko baki hai
Aap say dil laga ke daikh liya
اور کیا دیکھنے کو باقی ہے
آپ سے دل لگا کے دیکھ لیا
Wo mere ho kay bhi mere na huye
Unko apna bana ke daikh liya
وہ مرے ہو کے بھی مرے نہ ہوئے
ان کو اپنا بنا کے دیکھ لیا
Aaj unki nazar main kuch humne
Sabki nazrain bacha ke daikh liya
آج اُن کی نظر میں کچھ ہم نے
سب کی نظریں بچا کے دیکھ لیا
Faiz takmeel e Gham bhi ho na saki
Ishq ko azma ke dekh liya
فیض تکمیلِ غم بھی ہو نہ سکی
عشق کو آزما کے دیکھ لیا
Read More:
Sham e Firaq Ab Na Puch Aayi Or Aa Ke Tal Gayi by Faiz Ahmad Faiz
Zindagi Say Yehi Gila Hai Mujhe – Ahmad Faraz Poetry
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz Poetry
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota – Mirza Ghalib