Table of Contents
raat gaye ka sannata tha khamoshi si gaon ki thi
Urdu Ghazal Shayari
raat gaye ka sannata tha khamoshi si gaon ki thi
hum jis waqt safar par niklay chaap khud apne paon ki thi
رات گئے کا سنّاٹا تھا خاموشی سی گاؤں کی تھی
ہم جس وقت سفر پر نکلے چاپ خود اپنے پاؤں کی تھی
raig rawan hamrah safar hai sir par Sooraj chalta hai
dhupon dhupon jalne wale teri duniya chaon ki thi
ریگِ رواں ہمراہِ سفر ہے سر پر سورج چلتا ہے
دھوپوں دھوپوں جلنے والے تیری دنیا چھاؤں کی تھی
kuch to khilta paich hawa mein daal raha tha aakhir kon
wehshat thi ashafta suron ki ya gardish sahraon ki thi
کچھ تو کھلتا پیچ ہوا میں ڈال رہا تھا آخر کون
وحشت تھی آشفتہ سروں کی یا گردش صحراؤں کی تھی
hum to ik sun_saan gali se aaye aur khamosh gaye
kehnay ko duniya apni thi ronaqe bazm araon ki thi
ہم تو اک سنسان گلی سے آئے اور خاموش گئے
کہنے کو دنیا اپنی تھی رونق بزم آراؤں کی تھی
tum ne pkki sarrak bana kar kaisa rasta khol diya
chakkar kha kar lout aati thi pagdandi to gaon ki thi
تم نے پکّی سڑک بنا کر کیسا رستہ کھول دیا
چکّر کھا کر لوٹ آتی تھی پگڈنڈی تو گاؤں کی تھی
anay walay din ne Ather khawab mein bhi be chain rakha
raat ki dildari ke sadqe raat magar sahraon ki thi
آنے والے دن نے اطہر خواب میں بھی بے چین رکھا
رات کی دلداری کے صدقے رات مگر صحراؤں کی تھی
Aap Baithe Hain Balin Peh Meri Maut Ka Zoor Chalta Nahi Hai
Hum Ko Tou Gardish E Halaat Pe Rona Aaya – Sad Ghazal
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Karde – Islamic Dua Poetry
Mujhe Zindagi Mein Qadam Qadam Pe___ Beautiful Islamic Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO