Table of Contents
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jata
– Ahmad Faraz Poetry
قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi jata
قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
وہ شخص کوئی فیصلہ کر بھی نہیں جاتا
Aankhein hain ke khali nahi rehti hain Lahu se
aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahi jata
آنکھیں ہیں کہ خالی نہیں رہتی ہیں لہو سے
اور زخم جدائی ہے کہ بھر بھی نہیں جاتا
Wo rahat-e-jaan hai magar is dar badari mein
aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahi jata
وہ راحت جاں ہے مگر اس در بدری میں
ایسا ہے کہ اب دھیان ادھر بھی نہیں جاتا
Hum dohri aziyyat ke gariftaar musafir
paaon bhi hain shull shauq-e-safar bhi nahi jata
ہم دوہری اذیت کے گرفتار مسافر
پاؤں بھی ہیں شل شوق سفر بھی نہیں جاتا
Dil ko teri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujhse bichhaR janae ka dar bhi nahi jata
دل کو تری چاہت پہ بھروسہ بھی بہت ہے
اور تجھ سے بچھڑ جانے کا ڈر بھی نہیں جاتا
Pagal huye jate ho Faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jata
پاگل ہوئے جاتے ہو فرازؔ اس سے ملے کیا
اتنی سی خوشی سے کوئی مر بھی نہیں جاتا
Read More:
Aashiqi Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo – Ahmad Faraz
Zindagi Say Yehi Gila Hai Mujhe – Ahmad Faraz Poetry
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota – Mirza Ghalib
Be Qarari Si Be Qarari Hai – بے قراری سی بے قراری ہے | Jaun Elia Ghazal