Table of Contents
Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Bal-e-Jibril
Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye
پریشاں ہو کے میری خاک آخر دل نہ بن جائے
جو مشکل اب ہے یا رب پھر وہی مشکل نہ بن جائے
Na Kar Dain Mujh Ko Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Souz-e-Daroon Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye
نہ کر دیں مجھ کو مجبورِ نو افردوس میں حُوریں
مرا سوزِ دروں پھر گرمی محفل نہ بن جائے
Kabhi Chhori Huwi Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo Sinay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye
کبھی چھوڑی ہوئی منزل بھی یاد آتی ہے راہی کو
کھٹک سی ہے جو سینے میں غمِ منزل نہ بن جائے
Banaya Ishq Ne Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye
بنایا عشق نے دریائے ناپیدا کراں مجھ کو
یہ میری خود نگہداری مرا ساحل نہ بن جائے
Kahin Iss Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye
کہیں اس عالمِ بے رنگ و بو میں بھی طلب میری
وہی افسانہ و نبالہ محمل نہ بن جائے
Urooj-e-Adam-e-Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Toota Hua Tara Mah-e-Kamil Na Ban Jaye
عروجِ آدم خاکی سے انجم سہمے جاتے ہیں
کہ یہ ٹوٹا ہوا تارا مہِ کامل نہ بن جائے Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab Akhir – Allama Iqbal PoetryJab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal PoetryAnokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale Hain – Allama IqbalJab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO