Table of Contents
Phir Koi Naya Zakham Naya Dard Ata Ho
Urdu Shayari by Ather Nafees
phir koi naya zakham naya dard ata ho
us dil ki khabar le jo tujhe bhul chala ho
پھر کوئی نیا زخم، نیا درد عطا ہو
اس دل کی خبر لے جو تجھے بھول چلا ہو
ab dil mein sar-e-sham charaghan nahi hota
shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho
اب دل میں سرِ شام چراغاں نہیں ہوتا
شعلہ تیرے غم کا کہیں بجھنے نہ لگا ہو
kab ishq kiya kis se kiya jhut hai yaro
bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho
کب عشق کیا، کس سے کیا، جھوٹ ہے یارو
بس بھول بھی جاؤ جو کبھی ہم سے سنا ہو
darwaza khula hai ki koi laut na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
دروازہ کُھلا ہے کہ کوئی لوٹ نہ جائے
اور اُس کے لئے جو کبھی آیا نہ گیا ہو
shayad ki tere qurb se aa jae mayassar
wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho
شاید کہ تِرے قُرب سے آ جائے میسر
وہ درد کہ جو دردِ جُدائی سے سوا ہو
ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se
andaz-o-ada ka koi uslub naya ho
اب میری غزل کا بھی تقاضہ ہے یہ تجھ سے
انداز و ادا کا کوئی اسلوب نیا ہو
Zindagi Se Aik Din Mausam Khafa Ho Jayein Ge – Urdu Poetry
Ye Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye Tou Acha – Sahir Ludianvi
Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai – Ghazal
Angrai Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Hath – Urdu Ghazal
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO