Table of Contents
Pani Tere Chashmon Ka Tarapta Huwa Simaab
Mullah Zadah Zaigham Lolabi Kashmiri Ka Bayaz
Armaghan-e-Hijaz
Pani Tere Chashmon Ka Tarapta Huwa Simaab
Murghan-E-Sahar Teri Fazaon Mein Hain Betaab
پاني ترے چشموں کا تڑپتا ہوا سيماب
مرغان سحر تيري فضاؤں ميں ہيں بيتاب
Ae Wadi-e-Lolaab!
اے وادي لولاب
Gar Sahib-E-Hangama Na Ho Manbar-O-Mehrab
Deen Banda’ay Momin Ke Liye Mout Hai Ya Khawab
گر صاحب ہنگامہ نہ ہو منبر و محراب
ديں بندئہ مومن کے ليے موت ہے يا خواب
Ae Wadi-e-Lolaab!
اے وادي لولاب
Hain Saaz Pe Mauqoof Nawa Ha’ay Jigar Souz
Diheele Hon Agar Taar To Bekaar Hai Mizraab
ہيں ساز پہ موقوف نوا ہائے جگر سوز
ڈھيلے ہوں اگر تار تو بے کار ہے مضراب
Ae Wadi-e-Lolaab!
اے وادي لولاب
Mullah Ki Nazar Noor-E-Firasat Se Hai Khali
Be-Soz Hai Maikhana’ay Sufi Ki Mai’ay Naab
ملا کي نظر نور فراست سے ہے خالي
بے سوز ہے ميخانہء صوفي کي مے ناب
Ae Wadi-e-Lolaab!
اے وادي لولاب
Baidar Hon Dil Jis Ki Faghan-E-Sahari Se
Iss Qoum Mein Muddat Se Woh Darvesh Hai Nayab
بيدار ہوں دل جس کي فغان سحري سے
اس قوم ميں مدت سے وہ درويش ہے ناياب
Ae Wadi-e-Lolaab!
اے وادي لولاب
Nigah-e-Shauq – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Qalandar Ki Pehchan | Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani – Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO